Roz marta hun, roz jeeta hun
Har roz aik nayi kahaani likhta hun
Hasta hun, rota hun, muskurata hun
Roz aik nayi daastaan ki tayaari karta hun
Jaan gawana gawaara nahi hai ishq ke liye
Mehboob ki khatir nahi, marna hai mohabbat ke liye
Ghar kar gayi hai uski baat Mann mai
Neendein qurbaan hain saari umar ki, bas ek deedaar ke liye
Ab kuch ho na ho, maut ko gale lagana hai
Woh aaye na aaye, humein uske ghar jana hi hai
No comments:
Post a Comment