Saturday 26 August 2017

Fasaana

Woh Kehte hain gham ka fasaana kisi ko sunana nahi
Apne dil ki baat kisi ko batana nahi
Chahat ki gehrayi ko samjhana nahi
Ho agar tumse, ishq kiye bina tum marna nahi.

Tere aashiq

Qismat se anjaan, hum bechare
Dil ke haare, Mohabbat ke maare

Gire, pite, chalti hai gaadi
Rukti hai to, bas teri khatir

Woh Kehte hain zamaana badalta nahi,
Kehte hain ki kisi ke liye waqt rukta nahi
Hum tou thehre hue, teri yaad mai khoye
Sab hogaye,  bas tere aashiq na hue.

Honge  chahne wale tere sahi,
Mehfilon ki raunaq ho tum se hi,
Hum bhi unn parwanon mai se hain
Jo teri yaad mai pal pal jalte hain.

Wednesday 16 August 2017

Aazmayish

Numaish hai yun, aazmayish hai kyu?
Humsafar hai saath mere par hai kyu?
Aazmayish bhari ranjishon ki yeh dhun
Kya hua agar Jo khali raha mera ghar

Tumhari khushboo hai har jagah har peher
Saath hun mai tumhare  agar saath ho
Want ke saath humari agar baat ho
Kismat ke maare hain sahi,  yeh jahan
Hum ko tum se mila de tou aukaat hai

Jeete hai teri khatir agar hum sahi
Zindagi khali reh Jaye tou khali hi sahi
Teri yaadon ne ghar kar diya mera dil
Iss dil ke jarokhon se hai rishta wahi

Roz Roz

Roz Ki baat nahi, Aik roz Ki baat hai
Baaton mai baatein hain
Magar uski baaton mai alag baat hai

Kisi gali ke kisi koche mai koi shayar tha zaroor
Uss gali mai Mehboob ka aana tha zaroor
Bhatakte hue rahi ko manzil milni hai Zaroor
Deedar e Mustafa hojaye, tou zindagi bann jaye gi zaroor

Hum ne socha mil aayein USs se Jis ko sab charcha karte hain
Mehfilon mai Jis ke naam Ki tazbeeh karte hain
Hum bhi dua maang le yun toot kar
Ki woh kahe Ki dekho! Dua aise karte hain.