Friday 23 September 2016

Tum

Toote dil ka sahara ho tum, doobte insaan ka kinaara ho tum
Woh aarzoo jo puri na hui, uss aarzoo ki tamanna ho tum

Khayal tumhara dil ko bebas kar de
Ek nazar humare dil ko bagh bagh kar de

Bahaar ki kali, yeh shabnam ye ous
Inn sab ki khubsoorti se pare ho tum

Wednesday 21 September 2016

Kyu

Kyu
Hai is dil ko sahare ki umeed?
Arey kyu
Chahiye isse koi ho dil ke kareeb?

Kyu
Roz uth kar mulaakaat ki baichaini hoti hai?
Arey kyu
Roz Iss dil ko tum se mohabbat hoti hai?

Kyu
dhoka khane ka gham nahi hai?
Arey kyu
tumhe apni jaan bhi dena kaafi nahi hai?

Kyu
lagta hai ki tum saath do ge sadaa?
Arey kyu
lagta hai ki mujh se karo ge tum wafaa?





Sunday 18 September 2016

Ibaadat

Mile hum dono ik din aise
Bhichad gaye tou guzaara na ho jaise
Yeh ishq zubaan par tera naam baar baar laaye
Naam tera tazbeeh hogaya na jaane kaise?

Iss sabab Ibaadat ho tum meri
Tum se iss dil ka sukoon
Duniya aik taraf aur aik taraf tum
ik tarfa mera pyaar, aur aik taraf tumhara zulm

Yeh chaahat reh jaye gi adhoori meri
Tere na hone ka gham dil ko kha gaya
Tum ho, tou mai hun
Yeh hi zindagi hai meri

Muqamal rahe gi aashiqi meri
Mai rahun ya na rahun
Dil mai sirf tumhara naam rahe ga
Jab dua qabool hogi meri

Friday 16 September 2016

Yunhi #3

Tum aasmaan ho
Aasmaan mai bekhof udta hua parinda ho
Zameen tumhari nahi
Tum aik aisi udaan ho

Yunhi #2

Jhoot kuch hota nahi
Sab taqdeer ka khel hai
Aaj zindagi bahar tou kal veeran hai

Darr

Ek dafa kaha tha hum ne tum se
Jaan de dein ge, agar maango ge hum se

Saaya bann kar saath rahein ge tumhare
par darr lagta hai ki tum bhaag jaoge

Yeh darr kaisa jo tum se baandhe rakha hai mujhe
Pyaar tou karte hain, marr ke bhi karein ge

Judaai ka gham hai iss dil par bhari
Aankhon se shakal jaati nahi tumhari

Khush nazar aate ho sab ke saath
Mujhe dekh kar kyu chup hojate ho?

Shayad hum tumhare qabil nahi
Shayad tum humari manzil nahi





Wednesday 14 September 2016

Aandhi


Aafat jo aayi mere sar uss roz ki jab
Ruka tha mai wahin uss mod par tab
Dil majboor tha, khud se dur tha
Aandhi ne rok liya aur pooch liya
Mujh se woh jo maine kisi se kaha nahi tha
Jane kahan se aayi woh, meri zulfon ko udda ke laga
Ki jaise koi sehla raha ho mujhe

Dard

Aankhon se jab lahu behta hai, tab dard ka ehsaas hota hai
Raat ki aagosh mai jab akela mehsoos karta hai, tab dard ka ehsaas hota hai
Andhera jab khane ko dodta hai, jab chand baadalon ke peeche chup kar rone lagta hai
Tab dard ka ehsaas hota hai.

Kuch kehte hain ki dard meetha bhi hota hai
Sab kehte hain magar, dard sabhi ko hota hai
Dil kamzor hai, baat baat pe toot jaata hai
Awaaz aati hai nahi magar, jo seene mai aag si lagti hai
Tab dard ka ehsaas hota hai