Tuesday 20 December 2016

Safar

Zindagi ka safar chale ho tum
Aage, bohot duur nikal chuke ho tum
Kai mudattein hui tumhara deedar nahi hua
Yunhi baarish ke saath saath beh jaate ho tum

Chalo aaj aik safar hum bhi chalein
Kuch ishq bhare shar hum bhi likhein
Tum milo na milo, dikho na dikho
Tumhari tareefon ki tazbeeh aaj hum karein

Tuesday 1 November 2016

Mukaam

Safar mai mushkilein bohot hain par pyaar se aage bhadna hai
dil khoya hai tou kya, aankhon ke suroor ka istemaal karna hai

Yeh Khudayi meri nahi, Yeh rehnumai meri nahi
Mera tou bas woh hai, jisne gham mai haath choda nahi

Humsafar badal jaate hain, log aage nikal jaate hain
Magar mehboob aur hum, yahin sar rakh kar roz sojate hain

Woh chauraha hai, woh aik basti hai
jahan tumhara makaan hai, wahi mera mukaam hai.

Friday 23 September 2016

Tum

Toote dil ka sahara ho tum, doobte insaan ka kinaara ho tum
Woh aarzoo jo puri na hui, uss aarzoo ki tamanna ho tum

Khayal tumhara dil ko bebas kar de
Ek nazar humare dil ko bagh bagh kar de

Bahaar ki kali, yeh shabnam ye ous
Inn sab ki khubsoorti se pare ho tum

Wednesday 21 September 2016

Kyu

Kyu
Hai is dil ko sahare ki umeed?
Arey kyu
Chahiye isse koi ho dil ke kareeb?

Kyu
Roz uth kar mulaakaat ki baichaini hoti hai?
Arey kyu
Roz Iss dil ko tum se mohabbat hoti hai?

Kyu
dhoka khane ka gham nahi hai?
Arey kyu
tumhe apni jaan bhi dena kaafi nahi hai?

Kyu
lagta hai ki tum saath do ge sadaa?
Arey kyu
lagta hai ki mujh se karo ge tum wafaa?





Sunday 18 September 2016

Ibaadat

Mile hum dono ik din aise
Bhichad gaye tou guzaara na ho jaise
Yeh ishq zubaan par tera naam baar baar laaye
Naam tera tazbeeh hogaya na jaane kaise?

Iss sabab Ibaadat ho tum meri
Tum se iss dil ka sukoon
Duniya aik taraf aur aik taraf tum
ik tarfa mera pyaar, aur aik taraf tumhara zulm

Yeh chaahat reh jaye gi adhoori meri
Tere na hone ka gham dil ko kha gaya
Tum ho, tou mai hun
Yeh hi zindagi hai meri

Muqamal rahe gi aashiqi meri
Mai rahun ya na rahun
Dil mai sirf tumhara naam rahe ga
Jab dua qabool hogi meri

Friday 16 September 2016

Yunhi #3

Tum aasmaan ho
Aasmaan mai bekhof udta hua parinda ho
Zameen tumhari nahi
Tum aik aisi udaan ho

Yunhi #2

Jhoot kuch hota nahi
Sab taqdeer ka khel hai
Aaj zindagi bahar tou kal veeran hai

Darr

Ek dafa kaha tha hum ne tum se
Jaan de dein ge, agar maango ge hum se

Saaya bann kar saath rahein ge tumhare
par darr lagta hai ki tum bhaag jaoge

Yeh darr kaisa jo tum se baandhe rakha hai mujhe
Pyaar tou karte hain, marr ke bhi karein ge

Judaai ka gham hai iss dil par bhari
Aankhon se shakal jaati nahi tumhari

Khush nazar aate ho sab ke saath
Mujhe dekh kar kyu chup hojate ho?

Shayad hum tumhare qabil nahi
Shayad tum humari manzil nahi





Wednesday 14 September 2016

Aandhi


Aafat jo aayi mere sar uss roz ki jab
Ruka tha mai wahin uss mod par tab
Dil majboor tha, khud se dur tha
Aandhi ne rok liya aur pooch liya
Mujh se woh jo maine kisi se kaha nahi tha
Jane kahan se aayi woh, meri zulfon ko udda ke laga
Ki jaise koi sehla raha ho mujhe

Dard

Aankhon se jab lahu behta hai, tab dard ka ehsaas hota hai
Raat ki aagosh mai jab akela mehsoos karta hai, tab dard ka ehsaas hota hai
Andhera jab khane ko dodta hai, jab chand baadalon ke peeche chup kar rone lagta hai
Tab dard ka ehsaas hota hai.

Kuch kehte hain ki dard meetha bhi hota hai
Sab kehte hain magar, dard sabhi ko hota hai
Dil kamzor hai, baat baat pe toot jaata hai
Awaaz aati hai nahi magar, jo seene mai aag si lagti hai
Tab dard ka ehsaas hota hai



Tuesday 9 August 2016

Batwara

Kuch aur nahi, batwara tha
Kuch tera, kuch mera
Kuch aur nahi, jung ka aagaaz tha
Aik lakeer thi, aur nafrat do tarfa 

Insaan insaniyat se lad baithe
Bache yateem, jab walidon ke sar kate
Akhir kyu hui yeh barbaadi yahan?
Murdon ka mulk, murdon ki fateh

Mudat hui hai iss baat ko ab
Qatl e aam aur khoon ki nadiyan bahi thi jab
Aik mulk tha, pehchaan wahi hai
Bas naam alag hain, aik dusre se khafa hain sab.





Wednesday 8 June 2016

kuch

Duniya daari samajh nahi aati, ishq ne yun jakad rakha hai
Dildaari nazar nahi aati, tum ne yun madhosh kar rakha hai
Sambhal kar rakha tha tujhe yun, motiyon se bhi pare the tum
Subah hote hi, chaand ki tarah, raat ke andheron mai kho gaye tum
Yeh tadap, yeh beqaraari kaisi hai,
Mere sapnon ki taabir, meri mohabbat ka lihaz hai
Baadalon se poocho, roz roye hain hum saath
judaai hai mere dil mai, dard hai aur tumhara aks hai

Tuesday 24 May 2016

Lafz

Muddatein hui ik lafz likhe hue 
Lagg raha hai, andar se khali hun 
Saal beet gaye, sadyan guzar gayi 
Par lagg raha hai, ki wahin khadi hun 
Umeed ka daaman aaj bhi thama hai 
Khushi ka thikaana mere yahan kahan hai 
Hum tou subah shaam bas dua karte hain 
Ki aik aur lafz iss qagaz par utar jaye 
Dil ka bhoj kuch kam ho jaye 

Sunday 21 February 2016

5

Mohabbat mazhab nahi jaanta 
Kisi fareb ya dhoke ko nahi maanta 
Ibaadat uss khuda ki karte hain sab 
Magar tazbeh padhte hain mehboob ke naam ki

Saturday 13 February 2016

4

Tum saath nahi ho par mere saath ho 
Tumhara saaya mere peeche, tumhara khayal hai
Mai gham mai doobi hun, aur tum kisi aur ke saath khush ho 
Shaam dhal jaati hai mere saath, har din ke marne ka ehsaas hai 

Wednesday 10 February 2016

Kuch Aur

Mohabbat ke gile hote hain kuch aur 
Aashiq jo dagaa de, uspe kis ka zor 
Dil pe hukoomat jo karta hai woh chor
Ab yaadein hain uski, chod gaya jis mor

Zindagi kuch kare na kare yahan
Barbaad karke gham deti hai zaroor
Pal bhar ki khushi ke saath saath 
Tanhai ka daaman thama deti hai zaroor

Sunday 7 February 2016

Sahi

Dil ki duniya se hai maut ka maatam sahi 
Sanam ki aashiqui se hai dushman ki qataar sahi 
Mehboob ke baalon se hai raat ka andhera sahi 
Uss bereham se hai humari puri qaaiyanaat sahi

Thursday 28 January 2016

3

Toota hua dil hai sarkaar 
Thoda pyaar se uthaaye ga 
Pyaar mai haara hai yeh 
Thoda sa reham kijiye ga 
Hum apne aap ke ho na sake
Aapke kya honge 
Woh hum se wafaa na kar sake 
Aap se kya umeed rakhein ge. 

Wednesday 27 January 2016

2

Ab duur se chaahein ge aapko yun
Ki har saans mai aap, mere dil mai aap 
Yeh wohi dil hai jo aap ne toda tha 
Jis ko yun utha kar thukraya tha
Ab ussi dil ke tukdon se chahein ge aapko yun 

Humare Liye

Kasam se uss se behad pyaar karte hain hum 
Woh chahe kahan bhi rahein, jis ke saath bhi rahein 
Hum mohabbat tou usse hi karein ge 
Kyunki unko hum ne nahi mohabbat ne chuna hai humare liye


Tuesday 26 January 2016

Bekaar ke

Hum aadmi hain bekaar ke
Bekaari ke aalam mai bhi pyaar karein ge '
Pyaar karne wale tou bohot milein ge magar
Shidat sirf hum se hi paao ge

Dil seene se nikaal hi do
Bas ab aur sazaa bardasht na hogi humse
Dil kamzor hai, toot gaya bechara
Bas yeh khata hui ki mohabbat ki tumse

Galti phir dohrayein ge
Hum phir se mohabbat karein ge
Kyunki hum aadmi hain bekaar ke
Ilm rakhte hain ki wafaa tou hum se hi paao ge. 

Thursday 21 January 2016

Kya Kijiye

Boondh boondh qatra qatra jama kijiye 
Jab tak aap humain samajhte, aap kahin aur hi chal diye 
Saahilon ne hi dagaa de di, samandar se kya shiqayat karein 
Doob jana hi hai ab, aap ke hone ki umeed kya kijiye


Majnu

Uss baarish ki kasam, mohabbat thi tumse 
Uss aaftaab ki kasam, zindagi thi tumse
Chand ki roshni tou thi magar 
Uss roshni mai noor tha tumse

Nahi hain aap iss layak ki humari mohabbat qabool karein 
Na hain hum iss qaabil ki aapko hum se ishq karne pe majboor karein 
Ja chuke hain aap humari mehfil chod kar
Ajnabi logon mai ab hum kya mujra karein 

Baarish ki boondein girti hain zameen par
Humare aansuon ko ponch leti hai baha kar
Duniya dekhti hai has kar humain yun ki hum hain khade majnu
Magar yeh nahi dekha kabhi 
ki kitne hain andar se hum zakhmi

Friday 15 January 2016

Aap Aur Hum

Pyaar do tarfa hota hai, bharosa hota hai 
Muqarna kisi ka, pyaar ka inteqaam hota hai 
Jaag jayein ge unn sapnon se bhi 
Jo aapke saath dekhe the 
Waqt ke saath bhool jayein ge hum bhi 
Ki kabhi aap se hum aur hum aap se the 
Chaahein kya bhi kar lein, janaab! Aap ki zindagi mai hum aagaye the 
Par yeh kya hua ki aap hi humari zindagi bann gaye the
Ab na aap hain aur na hum 
Khali si duniya aur khali se hum 
Pehchaan na sake aap humain 
Hum woh hain jo aapke qadmon mai dil rakhe khadhe the

Tuesday 12 January 2016

Chod Chale

Unn qasmon aur waadon ko chod chale 
Teri galliyon ko, teri yaadon ko chod chale 
Zikr na karein ge tera kabhi ab se 
Palat ke phir na dekhein ge kabhi ab se 
Jaye, tum jahan bhi jao
Dobara poochein ge nahi ab se 
Tum ne humain chod diya, ab hum tumhe chod chale 
Unn umeedon aur sapnon ko chod chale 

Monday 11 January 2016

Pal

Woh pal jo mere dil ke qareeb the 
Woh pal tumhare liye kuch khaas nahi the
Socha tha zindagi yunhi saath kate gi 
Hum mohabbat karte rahein ge, do badan aik jaan honge 
Aisa socha nahi tha jo mere saath hua 
Dil toota, tum ne todaa, yeh hoga socha nahi tha 

Yaad

Tum mere the, yeh galatfehmi thi. 
Dheere dheere duur hue, galatfehmi bhi duur hoti gayi 
Yaadein aisi hain jo yaad aati hain 
Teri, meri, humari yaadein yaad aati hain 
Chod gaye tum, akele reh gaye hum 
Akele rehte rehte, khud hi kho gaye hum 
Khushi ka koi pata nai, gham yun aagaya yaad humain
Sambhal sambhal ke sambhle nahi, waqt waqt pe yaad aate ho tum humain 

Sunday 10 January 2016

Waqt e ishq

Waqt e ishq ki misaalein dete hain sab, bewaqt ishq ko pooche kaun 
Har waqt ka ishq hota hai aur har ishq ka waqt 
Woh mera waqt nahi tha, woh bewaqt ishq hi tha
Par ishq aur waqt ne dil nahi dekha 
Aashiq ki zindagi ko bikharte nahi dekha 
Bewaqt ishq ki sazaa mili 
Humari ibaadat hum se judaa hui 
Rote rahe, haye haye karte rahe 
Par waqt ja chuka tha, ishq khatam ho chuka tha