Sunday 20 December 2015

Meri Zuu

Aaj aik khayal aaya, khayal bhi bohot ajeeb aaya 
Ki marne ka waqa kaisa hoga
Sochte sochte khayal meri zuu tak pohuncha 
Aur jo waqt se pehle nikli hui ruuh thi, uska khayal aaya 
Badan se nikalte waqt meri zuu ne kuch mehsoos na kiya 
Aur mera jism wahin, zameen par gir pada 
Marte waqt aik dua zaroor nikli 
Ki meri zuu uss janat mai khush rahe 
Aur mai, yahan miti mai reh kar khush hojaun 
Saans mujhe na aaye tou gham nahi hai 
Bas uss ki sehat aabdi ki yehi aarzoo hai. 

Yunhi

Aarzu tooti aur yeh naadaan dil bhi toota 
Waqt ke saath saath, woh bhi choota
Par na aik baar bhi iss muh se aah nikli 
Andar hi marte rahe, jab tak yeh jaan bhi nikli 

Woh zaalim ne aik nazar mud kar na dekha
Ki hum bhi khade wahin rah par, unke salaam ke liye 
Woh aage chalte gaye, hum peeche rote rahe 
Aansuon ko bhi rokna aata nahin, ae humdum
Mile jo tum phir kabhi, tab bhi nahi rukein ge 

Sunday 6 December 2015

1

Saath le gaya woh sab umeedein iss duniya se jo thi 
Abhi waqt nahi hai, warna chale jate unn umeedon ke saath 

Saturday 12 September 2015

Adhure

Tere mazaar par aaye hain, phool nahi  par aankhon mai aansu laaye hain 
Tujhe phool se kya, jo murjhaya pada rahe teri qabr par 
Murjhaye tou hum hain jo toota hua dil le kar aaye hain
Rote hain zaar zaar teri yaad mai hum
Behlane nahi, khud ko cheer dene aaye hain hum
Aaftaab tou har din tere mazaar ko roshan karta hai
Roshni tou humain bhi milti hai magar 
Andheron ko paar karna hai
Adhura hai ghar, adhuri zindagi ka 
Adhura humara gham, adhure hain hum


Tuesday 8 September 2015

Eid

Eid aayi hai phir se Ramadhan ke baad 
Aik naya saal, aik nayi zindagi aapke baad 
Nahi rahi woh khushi na hi woh dil ka sukoon yahan 
Jab se aap alvida hue iss jahan se wahan 
Sab manayein khushiyan jab mera dil bhar aata hai 
Aapke ke bagair muskurana bhi nahi aata hai 
Jo aapne kaha, jo aapne kiya sab yaad hai humain 
Aap ke yahan na hone ka dukh bhi hai humain 
Sang dil tou hain nahi ki aapko bhool jayein 
Aapki yaad ko chod kar Eid manane jayein 
Shukur hai Allah ka ki aik aur Ramadhan hum ne dekha 
Par aap ke siwa Ramadhan aur Eid ki khushi ko nahi dekha
Pichle Ramadhan aap ka saath tha 
Magar iss baar mera haath khaali tha
Pichli Eid hum saath nahi the magar 
Tasali thi ki aap yahan zinda the magar

Wednesday 1 April 2015

Uss Roz

Uss roz unka marna jayaz tha, iss roz mera marna jayaz hai 
Nahi muskuraana mujhe, mere dil mai aik kasak si hona jayaz hai 
Iss qadar judaa hue, ki phir milne ka sawaal nahi 
Paida hi kyu hue, iss sawal ka bhi jawab nahi 
Kya kahein, kis se kahein ki kya beetti hai mujh par yahan 
Roz dil toota, har roz qatal e aam hota hai yahan 
Aansun nahi balki khoon baha hai meri aankhon se 
Tadap hai, dukh hai, gham e daastan hai meri aankhon mai 
Sahi nahi tha aisa hona, qismat mai jo likha tha
Qismat bhi royi thi uss roz, jab unko woh lene aaya tha 

Friday 2 January 2015

Teri Yaad Mai

Duniya ko bhool gaye, yaaron ko chod gaye 
Rishte naate toot gaye, sab kuch tere naam kar gaye 
Teri yaad mai 
Hum roye, hum muskuraye
Khayaalon mai so gaye, sapnon mai kho gaye 
Teri yaad mai 
Aashiqi peeche chod gaye, dil ko hum tod gaye 
Tera naam lete lete, hum Khuda ko bhool gaye 
Teri yaad mai 
Gham mai duub kar reh gaye 
Har wajah jeene ki, har dua uss paak e jannat ki 
Har unn qayaamat e waadon ko bhool gaye 
Teri yaad mai