Tuesday 12 June 2018

#4

Mohabbat Kis aashiq ki muqamal hai
Judai sab ke hisse mai hai, Aaj nahi tou kal
Taqdeer mai likha hai ki Alag Hona hai
Daastaanein likhi jayein ge un ki umeedon par
Raste pe nazar hogi, dil mai waqt ka khauf
Aankhon mai aansu honge, par palkon mai khuab
Inn khuabon ke sahare yeh bhoj utha lein ge
Tere liye, doori kya, aasmaan utha lein ge.

Thursday 18 January 2018

Aankhon ne sab dekha hai

Inn aankhon ne sab dekha hai
Woh tamaam manzar, Jo dil kured dete hain
Unn dard bhare nazaaron ko haqeeqat hote dekha hai

Mohabbat ka muqamal na Hona, kisi ka saath chuut jana
Kabhi na bichadne wale doston ka yaarana bikharte dekha hai
Inn aankhon ne sab dekha hai

Waqt ke sitam, afsos ka maqaan
Judai ki rawaaniyan, pathjad ka Aana
Woh haseen waadiyon se phoolon ka nishaan kho jana
Inn a aankhon ne dekha hai
Aansuon ki lalqaar, cheekhon ki pukaar,
Khuamoshi ka maatam,
Tanhai ka gulistan bante dekha hai
Inn aankhon ne sab dekha hai.

Tuesday 19 December 2017

Haye

Jane anjane kahin kho gaya
Woh Mera jahan, woh mera muqaam.
Lutf aata tha jahan, sukoon jahan ki hawaon mai tha
Gair mojoodgi se darr hai kahin aakhir bhool na jao tum kahin
Ki hum Kehte reh jayein
Haye yeh qismat humari
Woh bahaar aakar chali gayi, woh daastaanein shuru se pehle hi tamaam hui.

Thursday 2 November 2017

Bahaar

Aise kaise saath chod diya tumne
Aise kaise haath chod diya tumne
Hum aaye hi kya, aise kaise jahan chod diya tumne.

Safar lambe hote hain, suna tha
Saath magar faasla kam tha
Jab tum the nahi, hosla kam tha
Akele reh Jane ka thoda sa gham tha.

Awaz suno tou ruk jana thodi daer
Mere aane se shayad tumhe Acha lage
Chahe baat karo na karo
Thodi daer meri zindagi tumhe bahar lage.

Thursday 21 September 2017

Yunhi

Chirag e rah aj bhuj gayi
Thodi si meri, thodi si teri

Kuch suna nahi, kuch kaha nahi
Bas muh pher ke, fiza chali gayi

Maut se anjaan deewanon ki qasam
Ma royein ge aj, na khayein ge reham

Thursday 7 September 2017

Maut

Roz marta hun,  roz jeeta hun
Har roz aik nayi kahaani likhta hun

Hasta hun, rota hun, muskurata hun
Roz aik nayi daastaan ki tayaari karta hun

Jaan gawana gawaara nahi hai ishq ke liye
Mehboob ki khatir nahi,  marna hai mohabbat ke liye

Ghar kar gayi hai uski baat Mann mai
Neendein qurbaan hain saari umar ki, bas ek deedaar ke liye

Ab kuch ho na ho,  maut ko gale lagana hai
Woh aaye na aaye,  humein uske ghar jana hi hai

Saturday 26 August 2017

Fasaana

Woh Kehte hain gham ka fasaana kisi ko sunana nahi
Apne dil ki baat kisi ko batana nahi
Chahat ki gehrayi ko samjhana nahi
Ho agar tumse, ishq kiye bina tum marna nahi.